Tulsi Mata – Beloved of Lord Vishnu
Tulsi Mata Aarti

Jai Jai Tulsi Mata, Maiya Jai Tulsi Mata. Sab Jag Ki Sukh Data, Sabki Var Mata. || Jai Jai Tulsi Mata || Sab Yogon Se Upar, Sab Rogon Se Upar. Raj Se Raksha Karke, Sabki Bhav Trata. || Jai Jai Tulsi Mata || Batu Putri Hai Shyama, Sur Balli Hai Gramya. Vishnu Priye Jo Nar Tumko Seve, So Nar Tar Jata. || Jai Jai Tulsi Mata || Hari Ke Shish Virajat, Tribhuvan Se Ho Vandit. Patit Jano Ki Tarini, Tum Ho Vikhyata. || Jai Jai Tulsi Mata || Lekar Janam Vijan Mein, Aayi Divya Bhavan Mein. Manavlok Tumhi Se, Sukh-Sampatti Pata. || Jai Jai Tulsi Mata || Hari Ko Tum Ati Pyari, Shyam Varan Sukumari. Prem Ajab Hai Unka, Tumse Kaisa Nata. Hamari Vipat Haro Tum, Kripa Karo Mata. || Jai Jai Tulsi Mata || Jai Jai Tulsi Mata, Maiya Jai Tulsi Mata. Sab Jag Ki Sukh Data, Sabki Var Mata. || Jai Jai Tulsi Mata ||




